Virat kohli biodata june 2016

Will be updated soon.
https://techpreetam.wordpress.com

How To Earn From Youtube

Updated】 2016 June
If u like our blog like on Fb named  Helpingindia.Pk
YouTube se paise kamana koi mushkil kaam nahi hai. Youtube ko google ne online video dekhne ke liye banaya hai. is par video upload hum jaise peoples hi karte hai. iske badle unki income hoti hai. youtube, blogger, adsense, adwords or bhi google ki bahut sari services hai. jin se aap bina paisa kharch kiye free me online income kar sakte ho. is post me mai aapko youtube se paise (Make Money Online) kamane ki jankari details se bta raha hu. agar aapko youtube me interest hai, video bana sakte ho or aap youtube se rupee kamana chahate ho to thoda time jarur lagega par post ko pura padiyega. i promise aapko achi jankari milegi.
Youtube channel videos upload karne ka loyal community hai. jis par great video upload kar ke monthly 100k se jyada earning kar sakte hai. most video maker abhi youtube se lakho rupees kama rahe hai. aap bhi kama sakte ho. but uske liye aap k pas kuch cheezo ka hona bahut jaruri hai. apna youtube channel banane or youtube par video upload karke paise kamane se pahle ye step follow kare.
Youtube Se Paise Kanane Ke Liye Kin Kin Cheejo Ki Jarurat Padti Hai
“Youtube se rupees kanane ke liye aapke pas kya kya hona chahiye.” ye sabse bada sawal hai. kyuki bahut se log isi karan se youtube se paise kamane me fail ho jate hai.
Option 1: Ye jo cheeze hai jo aap me honi chahiye:
Your Voice: Youtube se paise kaamne me sabse pahle jaruri hai ki aapki aawaz kaisi hai. kyuki audience video maker ki aawaz par sabse jyada dhyan dete hai.
Your Style: Video me sirf bolne or video me samne ho kar visitors se bat karne me samne rah kar video banayi gayi jyada better hoti hai. so ayse me ye aap par depend karta hai ki aapki styule kaisi hai viewers aapko kitna pasand karte hai.
Your Talent: aap video ke throw logo ko kitna sikha sakte ho. impressive kar sakte ho. jisse wo aapke new video ka besabri se intzar kare.
Video Quality: aapke banaye video ki quality achi ho. jise jyada se jyada log pasand kar sake.
Option 2: Ye wo cheeze hai jo aapke pas honi chahiye:
Camera: video banane ke liye aapke pas ek acha camera hona chahiye. agar aap computer ki screen record karke video banana chahate ho to Camtasia studio software use kar sakte ho.
Video Editing: aapko video edit karne ke bare me thodi bahut (Basic) jankari honi jaruri hai. jisse aap better video edit kar sake.
Computer: video edit karne ke liye aapke pas ek computer ya laptop hona jaruri hai. mobile par youtube se paise kamani ki soch kar waqt barbad nahi kare.
Good Audience: Video banane se pahle internet par aapke facebook, google plus, twitter jaisi social media sites par thode bahut friends hone chahiye. jo aapke video share karne par aapki video dsekh or share kar sake.
Ab aapko ye to pata chal hi gaya hai ki youtube par video upload karne se pahle aapke pas kya kya hona chahiyeor kin kin cheejo ki jarurat padti hai. to chaliye ab aage jante hai ki video se kamayi kaise hoti hai.
Youtube Videos Se Kamayi (Income) Kaise Hoti Hai
Hum jab bhi koi naya kam shuru karte hai to hume uske bare me puri jankari hona jaruri hai. or agar nahi hai to pahle us kam ke bare me pata kar lena chahiye. ye har kam me success hone ki meri taraf se free tips hai. to mai bat kar rah tha ki aap youtube par jo video upload karoge, unse earning kaise hogi.
Jab bhi koi aapki video dekhega to aapki 2 tariko se kamayi hogi.
jab koi video par show hone wale ads par click karega. Video par show hone wale ads par click karne se aapki $0.50 se $5 tak ki income ho sakti hai.
Agar koi aapki video 30 second se jyada dekhega. Man lijiye agar aapki video par 30 second se jyada wale 1000 views hai to aapko iske $1 se$5 tak mil sakte hai.
Ab aap soch rahe hai ki mai aapko $1 ya $5 kyu bta raha hu, fix income kyu nahi bta raha to iski wajah ye hai ki alag alag country me alag alag tarah se paise milte hai. examply USA me aapki video ads par ek click ke $2 se $10 milte hai, jabki india me sirf $0.20 to $2 hi milte hai.
To ab aapko 2 sawalo ke jawab mil gaye ki youtube se paise kamane ke liye kon kon si cheezo ki jarurat padti hai or youtube se income kaise hoti hai. so ab mai aapko btane ja raha hu ki youtube se paise kaise kamaye. how to make money on youtube.
YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi
Yuotube se paise kamane ke liye aapko apna youtube channel banana hoga or us par video upload karne hone. fir apne youtube channel ko adsense se jodna padega. don’t worry ghabraiye nahi hum aapko sabke bare me details se samajha raha hu. aap bas post ko pura padiye. thodi boring ho sakti hai. but jankari kamal ki milegi. exaply aap meri youtube income dekh sakte hai. mere ek video se 30-35 days me 47 dollar income huyi hai.
To chaliye ab hum sikhte hai ki youtube se paise kamane ke liye ek complete youtube channel kaise banate hai
Step 1: Create Youtube Channel
Sabse pahle aapko apna youtube channel banana hai. youtube channel banane ke liye aap youtube.com par jayiye or apni gmail ID se log in kijiye. (youtube google ka hi banaya hua hai so hume youtube par alag se channel banane ki koi jarurat nahi hai.)
Agar aapke pas gmail ID  nahi hai to pahle aap Google Par Gmail Account Kaise Banaye or Internet Se Kaise Jude post pad kar apni email ID bana le. uske bad fir se post ko yahi se follow kare.
Step 2: Upload 4-5 Video
Youtube channel banane ke bad dusra kam hai youtube par kuch video bana kar upload karna. to apne youtube channel par ab 4-5 khud ke banaye huye video upload kare. agar aapko video upload karne ke bare me details me jankari hahiye to aap YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye post padiye. isme humne video upload karne ke bare me details se btaya hai.
Step 3: Enable your channel for monetization
Youtube channel par kuch self created video upload karne ke bad tisra kam hai youtube channel ko monetize karna. yani youtube videos ko monetization karna. iski puri jankari ke liye aap Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare post padiye. isme aapko iski details me jankari milegi.
Step 4: Connect Youtube Channel To Adsense
Youtube channel ko monetize karne ke bad 4th kam hai youtube channel ko adsense se jodna. aapki video par jo ads show honge wo adsense ke ads hote hai. or adsense hi aapki income hogi. iski adhik jankari ke liye aap Youtube Channel Ko Adsense Kaise Jodte Hai post pade.
Note:- Jab aapki videos par 2,000-2,500 views ho jaye tabhi youtube channel ko adsense se connect karna hai. usse pahle karoge to aapka adsense account approved nahi hoga. janiye Apna Adsense Account Approved Kaise Kare 4-5 Din Me.
Step 5: Start Making Best Video
ab aapka youtube channel to ban chuka hai, or aapne use monetize or adsense se connect bhi kar liya hai. to ab aapka youtube se paise kamane ka kam complete ho chuka hu. ab aap sirf videos upload kijiye or income kijiye. magar abhi bhi ek problem hai ki apne videos par views kaise laye. aysa kya kare ki humari videos ko sabse jyada log dekhe, jisse hum jyada se jyada paise kama sake. is sawal ka jawab aapko meri agli post me milega. to ab mera bhi ek kam kijiye sirf 5 second ka samay de kar is post ko facebook, twitter, google jaha bhi aap karna chaho share kijiye.

Virat kohli biodata june 2016

Will be updated soon. https://techpreetam.wordpress.com